Pages

May 07, 2010

Kuch apna sa dena chahta hu..!!!



Kholo kholo apni aankhein aur gaur se suno..
Dene ko toh bahut kuch hai, par apna sa kuch dena chahata hu..


Ek boond suraj ki, ek katraa aasmaan ka,
Koyal ki aadhi kook aur kuch jagmagaate sapne..
Accha lage to aur maango..
Dene ko toh bahut kuch hai, par apna sa kuch dena chahata hu..

Aasmaan sa aaina, ek dibbi titliyon ki,
Ek chamacch nadi ki dhaar aur ek mutthi zindagi..
Accha lage to aur maango..
Dene ko toh bahut kuch hai, par apna sa kuch dena chahata hu..

Ek lamha hasi ka, ek pal zindagi ka,
Ek raat chasni ki, aur ek umar dosti ki..
Accha lage to aur maango..
Dene ko toh bahut kuch hai, par apna sa kuch dena chahata hu..

Patjhar ka sukha patta, baarish ki ek boond,
Vasant ke peele phool aur sheet(thand) ka gehra kohra..
Accha lage to aur maango..
Dene ko toh bahut kuch hai, par apna sa kuch dena chahata hu..

Laal gulab ki ek pankhudi, kamal ki khubsurati,
Chameli ki khushbu aur ek tulsi ka patta.,
Accha lage to aur maango,,
Dene ko toh bahut kuch hai, par apna sa kuch dena chahata hu..

Ek chutki muskuraahat, ek pal ka ehsaas,
Bulbul ki meethi boli aur chaand ki halki si chandni..
Accha lage to aur maango..
Dene ko toh bahut kuch hai, par apna sa kuch dena chahata hu..

Aam ki halki mithaas, jugnu ki roshni..
Pahaadon ki khamoshiyan aur mere dil ki ek dhadkan..
Accha lage to aur maango..
Dene ko toh bahut kuch hai, par apna sa kuch dena chahata hu..

Rangon ki khubsurti, pyar ka khumaar,
Dil ka pyara sa rishta aur raat ka jazbaa..
Accha lage to aur maango..
Dene ko toh bahut kuch hai, par apna sa kuch dena chahata hu..

Ek pal ka pyara khwaab, ek pal ka meetha khayal,
Ek pal ki chahat aur ek pal ka karaar..
Accha lage to aur maango..
Dene ko toh bahut kuch hai, par apna sa kuch dena chahata hu..

Umar bhar ki khushiyan, jeevan bhar ka pyar,
Vaadon se bhara palla aur saaton janam ka saath..
Accha lage to aur maango..
Dene ko toh bahut kuch hai, par apna sa kuch dena chahata hu..

आसमान सा आइना, एक डिब्बी तितलियों की,
एक चम्मच नदी की धार और एक मुट्ठी ज़िन्दगी 
अच्छा लगे तो और मांगो
देने को तो बहुत कुछ है, पर कुछ अपना सा देना चाहता हूँ ..

पतझर का एक सूखा पत्ता, बारिश की एक बूँद..
वसंत के पीले फूल और शीत का गहरा कोहरा..
अच्छा लगे तो और मांगो
देने को तो बहुत कुछ है, पर कुछ अपना सा देना चाहता हूँ ..




Copyright © 2010 - ScrutinyByKHimaanshu

5 comments:

  1. Loved your tagline
    "Deney koh toh hai bahot kuchh par kuchh apna sa dena chahta hoon"

    yeh ret,yeh ghar,paani ka woh vamal,
    yeh chaand woh sitaarey aur woh satellite falak key upar...
    kuchh arms kuchh amunitions aur rockets ka bundle

    Achcha lage to aur maango..
    ...dene ko to bahut kuch hai...
    par kuch apna sa dena chhata hoo...

    Apni si chahat,apni si muskurahat,
    thoda saa pyaar aur thodi mohabbat
    naa koi shikwa naa shikayat sirf
    titliyon si aahat aur woh nazakat,
    tum aur main aur yeh safar

    Wow dood I'm impressed with your tagline.Gulzarish effect.

    ReplyDelete
  2. lubliee lines.....:-)

    ReplyDelete
  3. i m in love wid ur write ups...<3

    ReplyDelete
  4. Mahakata Hua Aanchal, Barasata Hua Badal ,

    khilkhilati hui Hansi,khilti hui kali

    Dene ko to bahut kuch h par kuch apna

    sa dena chahata..........

    ReplyDelete