Pages

December 17, 2012

#FictionalStory:Tumhaari hateli par rakha Gulmohar!..


Khabardaar jo aaj ke baad khud ko badsurat kaha..,” apni aawaaz ki volume tez karke maine kaha.


Dusre hiii pal uska haath apne haath mein liya aur ek khilkilaate hue Gulmohar ke phool ko uski hateli pe rakh diya..

Kuch der tak uski aankon se aanken mila kar muskuraaya. Phir uski hateli ki taraf ishaare karke kaha..“Tumhaari hateli pe rakha ye gulmohar saare jahan ka husn khud mein samete hue hai..Jaanti hoo kyun?..Kyunki woh tumhaari hateli pe rakha hai..

Kabhi soch ke dekha hai kyun har cheez muskura uthti hai tumhaare nazdeek aa kar?.. Kyun tumhaare ird gird aasmani farishte muskuraate hai..naachte gaate hai?.. Kyun?.. Kyunki tum khoobsurat hoo Poonam..DIL se khoobsurat..

Maine nazre ghooma kar usse isshara karte hue poocha. “Dekho uss auto rickshaw ki peeche kya likha hai?

Usne palat ke rickshaw ki taraf dekha aur dheere se boli “Likha hai!! Dil sachcha aur chehra jootha.

Ye kehte kehte uski aankhon mein bikharne ko tadapte aansuon ko mehsoos kar liya tha maine.

Phir kuch der ki chuppi ke baad maine uske gaal par haule se ek pyaar bhara chaata maara. Aur kaha, “Pagli insaan ki khoobsurti uske Dil ko dekh kar aanki jaati hai.

Hum ek dusre ko bina palke jhapkaaye dekhte rahe..

Maine apna haath aage badhaaya aur lal makhmali dupatte ko uske chehre se hata diya. Usne apne chehre ke daahine hisse ko chupa rakha tha uss lal makhmali duppate se..

Hamaare ghar ke pass wali Ramnath Patil Chwal ke ek sar-phire aashique ne Poonam se pyaar ka izhaar kiya tha. Woh kehta tha woh bahut pyaar karta hai Poonam se..Par shayaad woh pyaar Poonam se nahi uske chehre se karta tha..

Pyaar toh durr ki baat, tum toh meri nafrat ke layaak bhi nahi.” Poonam ke inn 13 lafzon ke inkaar ne uss Aashique ki neend haraam kar di thi..Aur iss baat ka badla usne uss chehre pe tezaab fek kar liye..jiss chehre ko woh beintehaan pyaar karta..

Doctors ki laakh koshisho ke baavajood woh Poonam ke chehre ke 70% jal chuke baahine hisse ko theek nahi kar sake..

Zara sochiye kya guzri hogi uss ladki pe jiski muskurahat dekh kar apna gham bhool jaane wale log, ab usse dekhna tak pasand nahi karte the..

Uske baad Poonam ne apne chehre ke daahine jale hue hisse ko kabhi apne haaton se..kabhi kisi kapde se chupaana shuru kar diya..

Chehre ke zakhm toh bhar gaye..par aatma pe lage ghaav..unka kya?

Guzarte waqt ke saath Poonam ke hooton se hasi kab gayaab hoo gayi ye koi nahi jaanta.

Aaj poore 25 mahine baad maine himaat karke uske chehre se woh makhmali kapda hataaya tha..

Kapda hathte hii uske kaapte hue hooton par khushi ki ek lahaar tairne lagi..

Aur agar ab bhi tumhe lagta hai ki tum badsurat hoo Poonam..toh mai khuda se yahi dua karuga ki iss duniya ke har saksh ko tum jaisa badsurat bana de..,” ye kehte kehte mera gala bhar aaya.

Phir ek dusre ko gale laga kar hum khoob roye..ji bhar ke roye, aise jaise khuda ne aakhri mauka diya tha rone ka..kyunki ab hamaari zindagi me inn badsurat aansuon ke liye koi jagah nahi bachi thi..

Ek lambi saans lete hue usne mujhe ek tirchi muskurahat ke saath ghoor ke dekha..aur phir uss gulmohar ko jo uski hateli mein muskuraa raha tha.. Uss hateli par jispe mere pyaar ki mehandi ka rang lagaane ki izajaat ab mil chuki thi..

-K Himaanshu Shukla...


Copyright © 2012 - ScrutinyByKHimaanshu

4 comments:

  1. wow bahut achcha likha hai

    ReplyDelete
  2. bahut hi jyada pyaara likha hai :D :D par kaash aise log sach mein bhi hote

    ReplyDelete
  3. This story is so heart touching, it brought tears to my eyes.

    ReplyDelete
  4. Amazing story amazing amazing just amazing

    ReplyDelete