Pages

June 20, 2013

#FictionalStory: Kitaabon wala pyaar...kitaabon ke panno se bahaar..

Mujhe Mumbai ki sunhari dhoop wali subah bahut pasand hai..dhool aur due ke beech Mumbai ke mashroof si subah..

Aaya tha tab yaha jab Mumbai Bombay tha..ek paraaya sehar..anjaan log..waqt guzarta gaya kab ye seher Bombay se Mumbai hua pata hii nahi chala..

Log kehte hai jitna Mumbai failta jaa raha hai..pyaar aur rishte utne hii simatte jaa rahe hai..Sach hai shayaad ye..

Sab log apni naurkri, kaam, dhande mein itne masroof hoo gaye hai ke lagta hai pyaar sirf kitaabon ke paano ya phir Rajshri/Karan Johar ki filmo mein hii reh gaya hai...Kab din nikalta hai aur kab suraj dhal jaata hai pata hii nahi chalta..Arre huzoor yaha apne liye waqt kam pad jaata hai pyaar kaha dekhne milega..

Waise kabhi-kabhie kahi-kahi pyaar dekhne ko milta hai...kisi coffee shop mein ya phir bandstand pe..Juhu chawpati mein aksar do log ek dusre ka haath thaame, baahon mein baahein daale nazar aa hii jaate hai. Par kya woh saccha wala pyaar hai? Veer aur Zara types? Mills and Boons wala?...Pata nahi kyun waise wala pyaar nazar aaya ab tak..

Ek subah dikhaa mujhe waisa wala pyaar..'kitaabon wala pyaar, kitaabon ke panno se bahaar'..Andheri station pe dekha tha do logo ko..naam toh nahi jaanta unka..

Andheri station ke platform no. 7 par Churchgate ki slow local ka wait karte dekh tha unko. Unhe dekh ke koi bhi samaj sakta tha kitna betahaasha..beintehaa pyaar karte honge dono ek dusre se..

Roz theek 8:03 ki Andheri-to-Churchgate ki slow local pakadne woh chale aate. Bheed mein woh dono alag hii chamakte the. Pata nahi kyun maine unka naam Mr. aur Mrs. Sharma rakh diya tha..

Train aate hai Mrs.Sharma, Mr.Sharma ke kandhe par unka laptop bag cross karke taang deti. Unka haath thaame train ke andar baith jaati. Hamesha woh window seat pe baithti aur Mr.Sharma unke pass...aur mai unke saamne wali seat pe..

Train ka safar shuru hota...Mr.Sharma ka newspaper khul jaata. Vile Parle cross karte hii Mrs. Sharma apne bag ne aasmaani rang ka 'unn ka gola' nikaal leti. Aur bunne lagti ek aasmaani rang ka sweater..

Din guzare..dheere dheere unn ka gola chota hota jaata aur sweater bada. 15-20mins sweater banaate banaate Mrs. Sharma thak jaati, uske baad Mr.Sharma unhe pyaar se daatte hue kehte, 'chalo ap baaki ka kal bana lena..thand aane mein abhi kafi mahine baaki hai.' Muskuraati hui Mrs. Sharma unn ka gola aur din-ba-din aakar lete sweater ko apne bag mein daal deti..

Dheere dheere sweater aakaar lene laga...kabhi Mrs. Sharma sweater ka gala Mr.Sharma ke gale par lagaake naapti toh kabhi lambaai. Din guzre, hafte beete...mahine nikal gaye. Aur ek din woh sweater lagbhag ban gaya. Aasmani sweater ka sirf right side ka haath baaki tha. Jaane kitna prem, jaane kitna sapne bune the Mrs.Sharma ne uss sweater ke saath.

Holi ki chuttiyon ke baad jab apne hometown se wapas aaya toh Andheri station ke platform no.7 pe subah ki 8:03 ki andheri-to-churchgate ki slow local ka wait karte hue poora waqt mai platform pe Mr. aur Mrs. Sharma ko hii dhoondta raha. Par dono nazar nahi aaye, shayaad kahi bahaar gaye honge, ye soch ke dil ko samjha liya..Par jab agle 15-20 dino tak woh dono nahi dikhe toh mai zara pareshaan hoo gaya. Jaane kaisa anjaana sa rishta jud gaya tha unn dono se..

Phir ek din..achaanak Mr. Sharma platform no. 7 ke corner mein khade hue dikhaayi diye. Mai apne aapko rok na paaya...daud ke unke pass gaya...aur pehli baar unse baat ki..

'Hello! aapne mujhe pehchaana?,' maine unse poocha.

Kuch der ruk kar unhone kaha, 'Haa tum wohi hoo na jo train mein ghoorte rehte hoo?'

Maine muskura ke gardan hila di..uske baad train aa gayi..hum train mein chad gaye..

Hamesha ki tarah seat par baithne wale Mr. Sharma jaane kyun gate pe khade hoo gaye. Mai bhi unke pass khada hoo gaya..

'Kya hua aaj aap akele? Mrs.Sharma..I mean aapki wife kaha hai, matlab woh lady jo aapke saath rehti thi...woh nahi aayi?,' maine badi umeed ke saath unse poocha.

Mr.Sharma ne mere iss sawal ka jawaab nahi diya, shayaad jawaab dena unhe theek nahi laga...Parla guzara..Santacruz aaya..Khar station bhi chala gaya..Maine darrte hue unse phir poocha..

Ek lambi saans lene ke baad unhone kaha, 'Yaar mujhe maaf karo, mai waise hii bahut pareshaan hu. Aur woh Mrs. Sharma nahi meri Biwi Poonam thi.'

Ye sunke mai zara surprise hua. 'Biwi THI...THI matlab?,' maine ghabraate hue poocha.

'She passed away,' aankhon mein utar aayi aansuon ki boondo ko apne safeed rumaal se poochte hue Mr. Sharma ne kaha. Rumaal ke ek koone mein likha tha 'P & P'..

'Agar Mrs. sharma ka naam Poonam tha..toh Mr. Sharma ka naam zaroor 'P' se shuru hota hoga,' maine socha.

'Woh bimaar thi,' Dadar station cross hote hii Mr. sharma ne kaha. Logo ka jhamghat kam hone laga.

Zindagi kitni ajeeb hai na...ye rukhti nahi kisi ke liye. Local train ki tarah ye zindagi chalti rehti hai din-raat, saal-dar-saal bas yuhi..

Elphinstone Road pe utarte utarte jab maine Mr. sharma se poocha, 'Exactly hua kya tha unhe?' Toh unka jawaab aaya, 'Woh bahut ziddi thi...Cancer tha usko. Mere mana karne ke baawjood woh roz mujhe office choodne aaya karti thi. Aakhri station pe utarke ghar wapas chali jaaya karti thi. Isi bahaane woh mere saath waqt bitaana chahti thi.'

'Ohh haa tabhi woh dusre platform se Churchgate-to-Andheri wali slow local mein baith jaati thi,' maine Mr. Sharma ki baat kaatte hue pooch liya.

Mr. Sharma ne haa mein sar hila diya. 'Maine usse bahut mana kiya...par woh kaha sunti thi meri. Halaat aise the ke mai job bhi chhod nahi sakta tha,' ye kehte hue Mr. Sharma ne uss rumaal se apni aankhen pooch li jispe likha tha 'P&P'.

Ye baat sunke mujhe sach mein pehli baar laga..saccha pyaar ab bhi baaki hai duniya mein..jaise samandar mein baaki hai namak ab tak. Jab koi Andheri se Elphinstone Road tak ke 45min ke safar mein saath waqt guzaarne ke liye itna kuch karta hai.. tab kitaabon wala pyaar, kitaabon ke panno se bahaar bhi dikhaayi deta hai..

Badi emotional si love story thi par mai roya nahi..tab tak na roya jab baat karte karte meri nazar Mr.Sharma ke seene par gayi...aur mujhe ehsaas hua ki March ki kadkaadti garmi mein Mr. Sharma ne wohi aasmani rang ka sweater pehna tha jiska left side ka baaju ab bhi adhoora tha..

-K Himaanshu Shukla..

NOTE:  Inspired by some youtube video..




Copyright © 2013 - ScrutinyByKHimaanshu

4 comments:

  1. Gosh I cried so much after reading this :(

    ReplyDelete
  2. kitna pyaara title diya hai aapne , kitaabon wala pyaar......kitaabon ke pano se bahaar....

    ReplyDelete
  3. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete