Pages

September 15, 2014

#ShortStory: Umeedon Ke Dhaage..

Lambe kaale baal, badi-badi gol-gol aankhein, bachche ki tarah maasoom, ibaadat ke phoolon jaisi pakiza aur chehre pe darvesho jaisa noor...aisi thi meri Aasiya.

Woh aksar kehti thi, Haji Ali ki dargaah se koi khali haath nahi laut ke aata. Usse vishvaas tha, duayein agar nek hoo toh Allah tala unhe qubool zaroor karta hai. Aasiya ke iss vishwas par poora yakeen tha mujhe.

Isiliye, apne pyaar, apni Aasiya ko paane ki har koshish jab naakam hoti dikhi tab mai gaya tha dargaah pe...aur badi tasalli se baand aaya tha kuch dhaagon ko, iss umeed mein ki jab Aasiya aur mera nikaah hoga tab inn dhaagon ko khol doonga.

Also Read: #ShortStory: Tumhaari hateli pe rakha Gulmohar

Gayi raat Aasiya ka nikaah Basheer miya se hoo gaya. Ab kashmakash mein hoon, jab kabhi Haji Ali ki uss paak dargaah par jaau, toh vishwaas ke unn dhaagon ko kholu ya bandhe rehne doon? Ummed ke dhaage ummed tootne par bhi kuch asar rakhte hain kya?

-K Himaanshu Shuklaa...



Copyright © 2014 - ScrutinyByKHimaanshu

2 comments: