Pages

June 25, 2015

Zindagi Gulzar Hai dialogues..

In Episode 20 Zaroon asked Kashaf will she miss him? Kashaf bares her soul to her diary...what she wrote was a bittersweet confession from the deepest chords of her heart. She wrote:

Mai miss karoongi? Miss toh shayad ek chota lafz hai inn ehsaassaat ke liye jo mai tumhaare liye rakhne lagi hoon. Aur ab mai apne aap se darne lagi hoon. Kisi se mohabbat insaan ko bahut kamzor kar deti hai..bahut bebas, majboor, mahkoom..aur mujhe in teenon cheezon se nafrat hai..lekin uske bawajood tum meri zindagi ka markaz bante jaa rahe hoo..

Tum mujhse poochte hoo ke mujhe tumhaari kya baat achchi lagti hai? Main tumse ye kaise kahoon ki mujhe tumhari kaunsi baat achchi nahi lagti..


Apne ird gird tumhara ghoomna..mere wajood se na hatne wali tumhari gehri bolti nazrein..tumhari har waqt ki tawajjo..tumhara jaan chidakne wala har andaaz..har baar jab tum mere maa baap ke liye ehtaraman khade hote hoo toh main tumhare samne jhukne lagti hoon..Aur kya kuch nahi jo mujhe tumhaare saamne moom nahi karta..

Ek chote ghar ke iss pankhe waale kamre mein tumhaari ye gehri neend..Mineral water bottle ko dhoondne ke bajaye nalke ka paani pi lena...Hand wash chhodke ek saaste saaboon se haath dhona..Apni plate ko meri maa ke haath ke pake khaane se baar baar bharna...Par mai yeh sab tumko kabhi nahi bataaoongi, tumhaare har vaade par hassoongi..tumhaari har baat ka mazaaq udaaugi..Tum mujhe sangemarmar samajhte hoo, toh samajhte raho..mai tumhaare saamne reth ki deewar nahi ban sakti..mujhe toot jaane se khauf aata hai..

ALSO READIqra Aziz and Feroz Khan starrer Pakistani drama 'Khuda Aur Mohabbat - Season 3' Dialogues

************************************************
************************************************


Their is the scene in which Zaroon hands Kashaf some money. It came as a big surprise for Kashaf as neither expected nor ever dreamed that she deserved such type of gift from a man. After Zaroon left the room, Kashaf started crying, she had a cruel past and now this pleasant surprise brings Kashaf to tears.

Kashaf was seen talking to herself, "Zindagi mein bahut si nemate hoti hai, ek nemat ye bhi hai ke aapka mard aapko apni zimmedaari samjhe aur aap par karch kare...Aur maine ye kab socha tha ke ye nemat mujhe bhi milegi? Koi mujhpar bhi karch karne wala hoga...meri bhi zimmedaari lega.."

While Kashaf was crying Zaroon gets a glimpse of her vulnerabilities, he asked, "Tumhe kya hua?"
Kashaf: Kuch nahi..
Zaroon: Tum Meri liye udaas hoo rahi hoo?
Kashaf: Nahi toh..
Zaroon: Toh phir mai khaamakaa mein hairaan hoo raha tha na ke tum mere liye roo rahi hoo?
Kashaf: Isme hairaan hone wali kya baat hai? Aisi bhi koi baat nahi ke mai tumhaare jaane se udaas nahi hoo sakti..
Zaroon: Sach? Udaas hoo rahi thi tum?

"Nahi maanegi ye ladki," Zaroon said after Kashaf walked out of the room.

ALSO READKhuda Aur Mohabbat Season 3 dialogue 'Teri Yaad De Vich Main Mar Ja Sa'

************************************************************************
************************************************************************
Rafia gives advice to Kashaf and asked her that she should always prepare meal for her husband Zaroon.

Rafia: Tum Zaroon ke liye bhi khaana pakaaya karo beta.
Kashaf: Mummy woh khaane ka itna shaukeen nahi hai, waise bhi unke ghar cook saara khaana banaate hai..
Rafia: Khaana khaane ke shaukeen toh saare mard hote hai..tum khaana banaaogi toh usse bhi shauk paida hoo jaayega..tumhaare khaane ki lazzat pehchaan lega woh..
Kashaf: Yeh kya baat hui..woh mere haath ke khaane ki pehchaan kaise karega? Mai itna khaana banaati bhi nahi hoon..
Rafia: Baat achcha khaana banaane ki nahi hai..uss zaayke ki hai...woh zaayka jo lagan se aata hai khaane mein..dekho beta biwiyan jab shauharon ke liye khaana banaati hai na toh shauhar pehchaan lete hai..Biwi ke haath mein ek khaas lazzat hoti hai. Mai chahti hoon, Zaroon jaha bhi jaaye, kaisa bhi khaaye...lekin usse tumhaare haath ke bane hue khaane yaad aaye..
Kashaf: Ammi woh toh ameer log hai. Pata nahi kin kin muko se khaana khaaya hai...kya kya khaaya hai..Ab inn saari cheezon ke beech usse mere haath ke khaane ki yaad kaise aayegi? Mere haath ka zaayka woh kaise pehchaanega?
Rafia: Maana ki woh poori duniya mein ghooma hai..usse tarah tarah je khaane khaaye hai..beshumaar ladkiyon ko woh jaanta hai..lekin usse insaano ki pehchaan hai beta..agar pehchaan na hoti toh woh shaadi karke ke liye hamaare darwaaye par na aata..Usse insaano ki pehchaan hai beta tabhi toh tum uski biwi hoo..


************************************************
Zindagi Gulzar Hai Climax dialogues
************************************************
Kabhi aayegi khushi, kabhi gam aayengen!


Kashaf Murtaza: Zindagi bahut si ajeeb baaton ka ek majmuan hai..ajeeb baatein, itefaqat, maujaze. Baaz dafa samajh nahi aati, agar isko ek jumle mein define karna pade, toh woh kya hoga? Zindagi Gulzar hai! Jaise Zaroon usko kahta hai.

Zaroon Junaid: Zindagi vakaai gulzar hai..biwi, family, aulad ke saath. Isse zyada ki khwaish toh kabhi nahi kar sakta mai.

Kashaf Murtaza: Kai saal pahle main apni zindagi mein aanewali har takleef par Allah ta’ala ko ilzaam diya karti, shikayaton ka ek dher tha, jo main har waqt uske saamne laga diya karti thi.

Mujhe hamesha is cheez ka afsos rahega ki main Allah ko galat samajhti thi, uski taqat aur hikmat ke baare mein galat andaaze lagaati thi. Mujhe lagta tha ki Allah mujhse pyar nahi karta..halaaki Allah toh, hum sab se pyar karta hai. Woh nemaatein bhi deta hai, aur aazmaata bhi hai. Lekin ye baat pata nahi jaldi samajh kyon nahi aati?


Zaroon Junaid: Years of Marital bliss. Aur in tamam saalon mein Allah ne bahut meharbaaniyan ki hai mujhpar. Aur mein uska jitna bhi shukr ada karun woh kam hai.


Kashaf Murtaza: Zindagi abhi khatam nahi hui, bas fark ye hai ki ab meri diary mein, Allah se shikve kam ho gaye hai. Maine unn chizon par raazi hona seekh liya hai jo woh mujhe deta hai, aur un cheezon ki talaash chod di hai jo naa haasil hai.

-K Himaanshu Shuklaa..

NOTEIf you enjoy our content and want to support us, please consider donating via  gpay, phonepay or paytm on +91 9920600280

8 comments:

  1. While reading the dialogues I got tears in my eyes I can easily relate with each dialogue so much pain Truly remarkable !

    ReplyDelete
  2. The dialogues are really heart touching...

    ReplyDelete
  3. Bit by bit dialogue writing. Not a single deviation from the original. Superb. ��

    ReplyDelete